Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
dekhna hai zor kitna baazoo-e-qaatil mein hai
charcha apnay qatl ka ab yaar ki mehfil mein hai
dekhna hai yeH tamasha kaun si manzil mein hai
kartaa nahin kyon doosra kuch baat-cheet
dekhta hoon main jise vo chup teri mehfil mein hai
ai shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
ab teri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai
waqt aane de bataa denge tujhe ai aasmaan
ham abhi se kyaa bataien kya hamare dil mein hai
Kheench kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed
aashiqon ka aaj jamghat koocha-e-qaatil mein hai
rahbar-e- raahe mohabbat reh na jana raah mein
lazzat-e-sehra nawardi doori-e-manzil mein hai
desh par qurbaan hote jaao tum, ai hindiyon
zindagi ka raaz muzmir khanjar-e-qaatil mein hai
sahil-e-maqsood par le chal khudaara, nakhuda
aaj hindustan ki kashti badi mushkil mein hai
door ho ab hind sey tareek-e-bugz-o-hasad
bas yahi hasrat, yehi armaan hamarey dil mein hai
baam-e-raffat paar charha do desh par hokar fana
BISMIL ab itni hawas baqi hamarey dil mein hai
ab na agle walwale hain, aur na armaanon ki bheer
ek mit jaane ki hasrat ab dil-e-bismil mein hai
aaj maqtal men yeh qaatil kah raha hai baar-baar
kyaa shahaadat ki tamanna ab kisi ke dil mein hai?
By: Ramprasad “Bismil”
0 comments:
Post a Comment